aaj phir kal ke kuch pal udhaar le liye,
aaj kee dor ko dheela chod,kal kee patang ke peeche duar pada mein,
kal ke hawai mahal aaj ke makan se nazuk par sundar
kal kee sadken,umeedon,khushion se liptee huee dikhtee hein
Guzra kal kee mittee liptee huee hai aaj ke aieene par,
Saaf hota nahin,ya shayad karna nahin chahta
lipta rehna chahta hoon guzre kal ke kambal mein,
aankhen moond ke unhee purani kahanion ke alag alag manzar jo dekh sakta
hoon.
Dono hee kal kee suraton mein,kyon akela hoon lekin?
Shayad jo aaj saath hein, unko peeche chod aana padta hai,
Par kya bewkoofi hai,aaj ke aage-peeche hee zindagi baithee hue hai chup
kar,
Pukar rahee mujhe,dheere se keh rahee,jo bhee hai,keval aaj hai
No comments:
Post a Comment